Contact Form

Name

Email *

Message *

Monday, 19 September 2016

picsart stylish editing trick by shiv

Hello Dosto,,
Me apne baare mai apko ek baat btane ja raha hun ki mai apne blog par wahi Tricks Share/post karta hun Jo maine Try Ki Hui Hai Or Wo 1000% Working Hoti Hai.....
Photo Edit Karne Se Kya Hoga?
Aap sab Ko pta hi hoga ki jab ham photo edit karte hai to hamari photo Jo ki simple si thi wo Stylish Ho Jati Hai or bahut achi dikhai deti hai agar aap editing ke baare me jante ho to Photo editing karke ham photo ka Background bhi change kar sakte hai mai apko photo ka background change Karna bhi shikhaunga par aaj ham baat karenge PicsArt Se Stylish photo kaise edit kare.....
PicsArt Kya Hai?..
PicsArt Ek app hai jisse Photo Editing me bahut se kaam kiye jate hai Jaise ki Hum PicsArt Se Photo Edit, Photo ka Background Change kar sakte hai, Website Blog Ke liye logo bna Sakte hai, PNG Bhi create kar sakte hai kisi bhi tarh ki, Gif File bhi create kar sakte hai, Photo me Effects daal sakte hai Aise hi aap picsart me bahut kuch kar sakte hai ek hi app me apko bahut kuch milega Agar aap android mobile me editing karna chate he to iske liye sabse acha app PicsArt hi hai....


Photo Editing Karne Ke Liye Kya Kya Chaiye,?...

1- PicsArt Apk 
Download PicsArt Apk Latest from playstore or 9apps

2- PNG
Download   from- skheditingworld.blogspot. com
Aap yaha se upar download par click karke PNG download kar skate ho


PNG Kya Hai....?

PNG image fromat hai apne dekha hi hoga image ke do format hote hai
1- Jpeg
2- Png
 Jab hum thode bohot colors ka use karke computer dwara digital image banate hai to hum use .
png format me save karte hai. Maan lijiye ek logo hai, ya kisi kitab ka cover hai uske jaada se jaada 100 colors ka use ho jayega. To aisi images me pixels to jitne marji ho lekin color kam hote hai. Agar aap graphic image ko zoom karke dekhege to isme camera se li gayi image ke mutabik kaafi kam colors hote hai. Ab aap jaan hi gye honge ki PNG kise kahte hai...

PicsArt Se Stylish Photo Edit kare...

Aapne picsart or PNG download kar li ho to abko apko wahi Karna hai Jo me btaunga Step To Step....

1- PicsArt Open kare Or Phir Aapke Samne 5 Option Honge

2- Ab aap Edit par Click kare...
or Jo photo aap edit Karna chate hai Us Photo ko Select Kare...

3- Ab Aap Add Photo par Click Kate
4- Ab aap wo PNG add kar le Jo Maine apko upar download karne ke liye kaha tha aap is par Light PNG, Text PNG Add kar sakte hai.....

5-  Ab aap un PNG ko Sahi se apne hisab se lgaye photo me jaha par apko achi lage fir save kar Le




Jaise Maine ye photo edit ki hai aise hi aap bhi Edit Kar Sakte hai or apni photo Ko Stylish Bna Sakte hai....



AGAR APKO YE POST ACHI LAGI HO TO AAP APNE DOSTO KE SATH BHI SHARE KAR SAKTE HAI OR AGAR KOI PARESHANI HO RAHI HO TO COMMENT KARE......
Note:- This post is copy from other blog!!
#Shiv_kumar_hansdak...

  • Like my Facebook page-https://m.facebook.com/Skh-editography-1804763279769175/?ref=opera_speed_dial

No comments:

Post a Comment